Monday, September 22, 2008

dil me.n na ho jurrat to muhabbat nahii.n milatii

Lyric: Nida Fazli 


dil me.n na ho jurrat to muhabbat nahii.n milatii 
Khairaat me.n itanii ba.Dii daulat nahii.n milatii

[jurrat=courage; Khairaat=charity]

kuchh log yuu.N hii shahar me.n ham se bhii Khafaa hai.n 
har ek se apanii bhii tabiiyat nahii.n milatii

[Khafaa=annoyed/angry]

dekhaa thaa jise mai.n ne ko_ii aur thaa shaayad 
vo kaun hai jis se terii suurat nahii.n milatii

ha.Nsate huye cheharo.n se hai baazaar kii ziinat 
rone ko yahaa.N vaise bhii fursat nahii.n milatii

[ziinat=beauty/adornment; fursat=leisure time]


maiN Khayaal huuN kisii aur kaa mujhe sochtaa ko’ii aur hai



मैं ख़याल हूँ किसी और का मुझे सोचता को’ई और है
सर-ऐ-आ’ईना मेरा अक्स है पास-ऐ-आ’ईना को’ई और है

(सर-ऐ-आ’ईना : इन फ्रंट ऑफ़ थे मिर्रोर; पास-ऐ-आ’ईना : बेहिंद थे मिर्रोर)

मैं किसी के दस्त-ऐ-तलब में हूँ तो किसी के हर्फ़-ऐ-दुआ में हूँ
मैं नसीब हूँ किसी और का मुझे मांगता को’ई और है

(दस्त : हैण्ड; तलब : देसिरे; हर्फ़-ऐ-दुआ : वोर्ड्स ऑफ़ प्रयेर्स)

कभी लौट आयें तो न पूछना सिर्फ़ देखना बारे घुर से
जिन्हें रास्ते में ख़बर हु’ई की ये रास्ता को’ई और है

अजब ऐतबार-ओ-बे-ऐतबारी के दरमियान है जिंदगी
मैं करीब हूँ किसी और के मुझे जानता को’ई और है

(ऐतबार : कांफिडेंस, बेलिएफ)

वही मुन्सिफों की रिवायतें वही फैसलों की इबारतें
मेरा जुर्म तो को’ई और था पर मेरी सज़ा को’ई और है

(मुंसिफ : जुडगे; रिवायत : त्रादिशन्स; इबारत : डिक्शन, स्टाइल)

तेरी रोशनी मेरी खद्दो-खाल से मुख्तलिफ तो नहीं मगर
टू करीब आ तुझे देख लूँ टू वही है या को’ई और है

(खद्दो-खाल : अप्पेअरेंस; मुख्तलिफ : दिफ्फेरेंत)

जो मेरी रियाज़त-ऐ-नीम-शब् को “सलीम” सुभ न मिल सकी
तो फिर इस के मानी तो ये हु’ऐ के यहाँ खुदा को’ई और है

(रियाज़त-ऐ-नीम-शब् : रेलिगिऔस एक्सेर्सिसेस अत मिड-निघत)

lyric: Saleem Kausar

Friday, September 19, 2008

Chaap Tilak Sab Cheeni--------------amir khusaro


Chaap Tilak Sab Cheeni

(You've taken away my looks, my identity, by just a glance.) 

Khusrau rain suhaag ki, jo main jaagi pi ke sang,
Tan mora man piya ka, jo dono ek hi rang.

Khusrau dariya prem ka, jo ulti waah ki dhaar,
Jo ubhra, so doob gaya, jo dooba so paar.

Apni chab banaai ke, jo main pi ke paas gayi,
Chab dekhi jab piya ki, mohey apni bhool gayi.




Chaap Tilak sab cheeni re, moh se naina milayke.
Chaap Tilak sab cheeni re, moh se naina milayke.
Chaap Tilak sab cheeni re, moh se naina milayke.

Moh se naina milayee ke…
Chaap Tilak sab cheeni re, moh se naina milayke.

Chaap Tilak sab cheeni re, moh se naina milayke.
Baat agham keh deeni re moh se naina milayke.

Bal bal jaaun main, tore rang rejava,
Bal bal jaaun main….
Bal bal jaaun main….

Aisi rang do ke rang naahin chhutey, Dhobiya dhoye chaahe saari umariya

Bal bal jaaun main….
Bal bal jaaun main….

Bal bal jaaun main, tore rang rejava,
Apni si rang deeni re, moh se naina milayke.

Prem bhati ka madhva pilayke


Pa ni sag a ma ga sa…(ragas by Khan saab)

Prem bhati ka madhva pilayke,
Matwari kar deeni re, moh se naina milayke.

Gori gori gori baiyaan, hari hari chudiyaan,
Bahiyaan pakad har leeni re, moh se naina milayke.

Khusrau Nizaam ke bal bal jaiyaaan …
Khusrau Nizaam ke bal bal jaiyaaan …

Har qaum raast raahay, deen-e wa qibla gaahay,
Mun qibla raast kardam, bar samt kajkulaahay.

Khusrau Nizaam ke bal bal jaiyaaan …
Khusrau Nizaam ke bal bal jaiyaaan …

Khusrau Nizaam ke bal bal jaiyaaan …
Mohe suhagan keeni re, moh se naina milayke

Bahut Kathin hai dagar panghat ki,
Kaisay main bhar laaun madhva say matki?

Khwaja Nijaamoddin, Khwaja Nijaamoddin,
Laaj rakho moray ghoonghat pat ki.

Khusrau Nizaam ke bal bal jaiyaaan …
Mohe suhagan keeni re, moh se naina milayke



main nazar se pi raha hoon..........................................................



main nazar se pi raha hoon...ye sama badal naa jaaye..
main nazar se pi raha hoon...ye sama badal naa jaaye...
na jhukaoo tum nigahe, kahi raat dhal naa jaaye...
main nazar se pi rahaa hoon...

mere ashq bhi hai is mein ye sharab ubal naa jaaye...
mere ashq bhi hai is mein ye sharab ubal naa jaaye...
mera jaam choone waale tera haath jal na jaaye...
mein nazar se pi raha hoon...

abhi raat kuch hai baaki..na utha nakab saaki...
abhi raat kuch hai baaki..na utha nakab saaki...
tera rind girte girte kahi phir sambhal na jaaye..
mein nazar se pi raha hoon...
meri zindagi ke malik,mere dil pe haath rakhna..
meri zindagi ke malik, mere dil pe haath rakhna..
tere aane ki kushi mein , mera dum nikal naa jaaye..
mein nazar se pi raha hoon..

mujhe phook ne se pahele mera dil nikal lena...
mujhe phook ne se pahele mera dil nikla lena, 
ye kisi ki hai amaanaat , kahi saath jal na jaaye..

mein nazar se pi raha hoon , ye sama badal na jaaye, 
na jhukao tum nigahe, kahi raat dhal naa jaaye..........................

Thursday, September 18, 2008

Tum Ik Gorakh Dhanda Ho



Kabhi Yahaan Tumhein Dhonda, Kabhi Wahaan Pohncha
Tumhari Deed Ki Khaatir Kahan Kahan Pohcha
Ghareeb Mit Ga'ay, Pamaal Ho Gaye Laikin
Kisi Talak Na Tera Aaj Tak Nishaan Pohncha

Ho Bhi Nahi Aur Her Jaa Ho
Ho Bhi Nahi Aur Her Ja Ho
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Her Zarray Mein Kiss Shaan Say Tu Jalwa Numa Hai
Hairaan Hai Magar Aqal K Kaisay Hai To Kia Hai
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Tujhay Dair-O-Haram Mein Nai Dhonda Tu Nahi Milta
Magar Tashreef Farma Tujhay Apne Dil Mein Daikha Hai
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Dhonday Nahi Milay Ho Na Dhonday Say Kaheen Tum
Aur Phir Yeah Tamasha Hai, Jahan Hum Hein Waheen Tum
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Jab Bajuz Tairay Koi Dosra Maujood Nahi
Phir Samajh Mein Nahi Aata Tera Purdah Karna
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Harm O Dair Mein Hai Jalwa E Purfan Tera
Do Gharoon Ka Hai Charaagh E Kurkhe Roshan Tera
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Jo Ulfat Mein Tumhari Kho Gaya Hai, Usi Kho'ay Hoay Ko Kuch Mila Hai
Na But-Khanay, Na Kabay Mein Mila Hai, Magar Totay Hoay Dil Mein Mila Hai
Adam Bun Ker Kaheen To Chup Gaya Hai, Kaheen To Hast Bun Ker Aa Gaya Hai

Nahi Hai Tu To Phir Inkaar Kaisa, Nafi Bhi Tairay Honay Ka Pata Hai
Mein Jiss Ko Keh Raha Hoon Apni Hasti, Agar Wo Tu Nahi To Aur Kia Hai
Nahi Aaya Khayaloon Mein Agar Tu, To Phir Mein Kaisay Samjha Tu Khuda Hai
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Hairan Hoon Is Baat Pay, Tum Kon Ho Kia Ho
Haath Aao To But, Haath Na Aao To Khuda Ho
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Aqal Mein Jo Ghir Gaya La-Intiha Kiyoon Ker Hoa
Jo Samajh Mein Aa Gaya Phir Wo Khuda Kiyoon Ker Hoa
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Falsafi Ko Behas K Ander Khuda Milta Nahi
Dour Ko Suljha Raha Hai Aur Sira Milta Nahi
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Pata Yoon To Bata Daitay Ho Sub Ko La-Makaan Apna
Ta'ajub Hai Magar Rehtay Ho Tum Tootay Hoay Dil Mein
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Jab K Tujh Bin Nahi Koi Maujood
Phir Yeah Hangama Ay Khuda Kia Hai
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Chuptay Nahi Ho, Samnay Aatay Nahi Ho Tum, Jalwa Dikha K Jalwa Dikhatay Nahi Ho Tum

 

 

Dair O Haram K Jhagray Mita'tay Nahi Ho Tum, Jo Asal Baat Hai Wo Batatay Nahi To Tum
Hairaan Hoon Mairay Dil Mein Sama'ay Ho Kiss Tarah, Haan'la K Do Jahan Mein Samatay Nahi To Tum
Yeah Ma Bud O Haram, Yeah Qaleesa-o-Dair Kiyoon, Harjayii Ho Jabhi To Bata'tay Nahi To Tum
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Dil Peh Hairat Nai Ajab Rung Jama Rakha Hai, Aik Uljhi Howi Tasveer Bana Rakha Hai
Kuch Samajh Mein Nahi Aata K Yeah Chakkar Kia Hai, Khail Kia Tum Nai Azal Say Yeah Racha Rakha Hai
Rooh Ko Jism K Pingray Ka Bana Ker Qaidee, Us Pay Phir Mout Ka Pehraa Bhi Bithaa Rakha Hai
Day K Tadbeer K Panchi Ko Uranay Tu Nai, Daam-E-Tadbeer Mein Her Sumt Bicha Rakha Hai
Kar K Araish E Qounain Ki Barsoon Tu Nai, Khatam Karne Ka Bhi Mansooba Bana Rakha Hai

La-Makaani Ka Bahr Haal Hai Dawa Bhi Tumhein, Nahl-O-Akrab Ka Bhi Paighaam Suna Rakha Hai
Yeah Burai, Wo Bhalai, Yeah Jahannum, Wo Bahisht, Is Ulat Phiar Mein Farmao To Kia Rakha Hai
Jurm Aadam Nai Kiya Aur Saza Baitoon Ko, Adl O Insaaf Ka Mi'aar Bhi Kia Rakha Hai
Dai K Insaan Ko Dunya Mein Khilafat Apni, Ik Tamasha Sa Zamanay Mein Bana Rakha Hai
Apni Pehchaan Ki Khaatir Hai Banaya Sub Ko, Sub Ki Nazaroon Say Magar Khud Ko Chup Rakha Hai
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Nit Naye Naqsh Banatay Ho Mita Daitay Ho, Janay Kiss Jurm-E-Tamanna Ki Saza Daitay Ho
Kabhi Kunker Ko Bana Daitay Ho Heeray Ki Kani, Kabhi Heeron Ko Bhi Mitti Mein Mila Daitay Ho
Zindagi Kitnay He Murdoon Ko Ata Ki Jiss Nai, Wo Maseeha Bhi Saleebon Pay Saja Daitay Ho
Khuwahish-E-Deed Jo Kar Baithay Sir-E-Tuur Koi, Tuur Hee Ban K Tajaali Say Jala Daitay Ho
Nalay Namrood Mein Dalwatay Ho Qudrat Na Khaleeq, Khud Hee Phir Naar Ko Gulzaar Bana Daitay Ho

Chahay Kin Aan Mein Phainko Kabhi Maah Kinaan, Noor Yaqoob Ki Aankhon Ka Bujha Daitay Ho
Day Ke Yusuf Ko Kabhi Mirs K Bazaaron Mein, Aakhir Kaar Shah-E-Misr Bana Daitay Ho
Jazb O Masti Ki Jo Manzil Pe Pohonchta Hai Koi, Baith Ker Dil Mein Anal Haq Ki Sada Daitay Ho

 

Khud He Lagwatay Ho Phir Kufr K Fatway Us Per, Khud He Mansoor Ko Sooli Peh Charha Daitay Ho
Apni Hasti Bhi Wo Ik Rooz Gawa Baith'ta Hai, Apne Darshan Ki Lagan Jiss Ko Laga Daitay Ho

Koi Ranjha Jo Kabhi Khooj Mein Nikle Teri, Tum Usay Jhang K Bele Mein Rula Daitay Ho
Justujo Lay K Tumhari Joh Chalay Qais Koi, Us Ko Majno Kisi Laila Ka Bana Daitay Ho
Jot? Sassi K Agar Mun Mein Tumhari Jagay, Tum Usay Taptay Hoay Thal Mein Jala Daitay Ho
Sohni Gar Tum Ko Mahiwaal Tassawur Ker Le, Us Ko Bikhri Howi Lehroon Mein Baha Daitay Ho
Khudh Joh Chaho To Sar-E-Arsh Bula Ker Mehboob, Aik He Raat Mein Mairaaj Kara Daitay Ho
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Aap Hi Apna Pardah Ho
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Jo Kehta Hoon Mana Tumhein Lagta Hai Bura Sa, Phir Bhi Hai Mujhay Tum Say Baharhaal Gila Sa
Chup Chaap Rahay Daikhtay Tum Arsh-E-Bareen Per, Taptay Hoay Karbal Mein Mohammad Ka Nawasa
Kiss Tarah Pilata Tha Laahu Apna Wafa Ko, Khud Teen Dino Say Wo Agarchay Tha Piyasa
Dushmun To Bahar Haal Thay Dumshun Magar Afsoos, Tum Nai Bhi Faraham Na Kia Pani Zara Sa

Her Zulm Ki Taufeeq Hai Zaalim Ki Wirasat, Mazloom K Hissay Mein Tasalli Na Dilasa
Kal Taaj Saja Daikha Tha Jis Shaqs K Sir Per, Hai Aaj Usi Shaqs K Haathon Mein Hikasa
Yeh Kia Hai Agar Pochon To Kehtay Ho Jawaban, Is Raaz Say Ho Sakta Nahi Koi Shanasa
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Hairat Ki Ik Dunya Ho
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Har Aik Jaan Pey Ho, Laikin Pata Nahi Maloom
Tumahra Naam Suna Nai, Nishaan Nahi Maloom
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Dil Say Armaan Jo Nikal Ja'ay To Jugnu Ho Ja'ay, Aur Aankhon Mein Simat Aa'ay To Aanso Ho Ja'ay
Ja Pe Ya Huu Ka Jo Be Hu Karay Hu Mein Kho Ker, Us Ko Sultaniyaan Mil Jaein Woh Baahu Ho Ja'ay
Baalgi Ka Na Kisi Ka Ho Churi Ke Neechay, Halk-E-Asghar Mein Kabhi Teer Tarazu Ho Ja'ay
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Kiss Qadar Beniyaaz Ho Tum Bhi
Daastan E Niyaaz Ho Tum Bhi
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Raah-E-Tehqeeq Mein Her Gaam Pay Uljhan Daikhoon, Wohi Halaat O Khayalaat Mein Anaban Daikhoon

Ban Ke Rah Jaata Hoon Tasaveer Pareshaani Ki, Ghaur Say Jab Bhi Kabhi Dunya Ke Darpan Daikhoon
Aik He Khaaq Pay Fitrat Ke Tajaadaat Itne, Itne Hisson Mein Banta Aik He Angan Daikhoon

Kahin Zahmat Ki Sulagti Howi Patjhar Ka Sama, Kahin Rahmat Ke Barastay Hoay Sawan Daikhon
Kahin Punkartay Darya, Kabhin Khamosh Pahar, Kabhi Jungle, Kahin Sahra, Kahin Gulshan Daikhoon
Khoon Rulata Hai Yeh Taqseem Ka Andaaz Mujhay, Koi Dhanwaan Yahaan Per Koi Nirdhan Daikhoon

Din Ke Haathon Mein Faqat Ek Sulagta Suraj, Raat Ki Maang Sitaroon Say Muzayyan Daikhon
Kahin Murjha'ay Howe Phool Hein Sach'chaii Ke, Aur Kahin Jhoot Ke Kaanton Pay Bhi Joban Daikhon
Shams Ki Khaal Kaheen Khinchti Nazar Aati Hai, Kaheen Sarmad Ki Utarti Howi Gardan Daikhoon

Raat Kia Shay Hai Sawayra Kia Hai, Yeah Ujala Yeah Andhera Kia Hai
Mein Bhi Naayib Hoon Tumhara Aakhir, Kiyoon Yeh Kehtay Ho K Tera Kya Hai
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Daikhnay Wala Tujhay Kia Dekhta
Tu Nai Her Rung Say Pardah Kia
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Masjid Mandir Yeh Mekhanay, Koi Yeh Manay Koi Woh Manay
Sub Tere Hein Jaana Kasahanay, Koi Yeh Manay Koi Woh Manay
Ik Honay Ka Tere Qaail Hai, Inkaar Pay Koi Maail Hai
Ik Khalq Mein Shaamil Karta Hai, Ik Sub Say Akela Rehta Hai
Hein Dono Tere Mastanay, Koi Yeh Manay Koi Woh Manay
Sub Hein Jab Aashiq Tumhare Naam Ke, Kiyoon Yeh Jhagray Hein Rahim-O-Raam Ke
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Dair Mein Tu Haram Mein Tu, Arsh Pe Tu Zameen Pe Tu
Jiss Ki Pohonch Jahan Talak Us K Liyeah Waheen Pe Tu
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Her Ik Rung Mein Yakta Ho
Her Ik Rung Mein Yakta Ho
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho

Markaz E Justuju, Aalam E Rung O Boo, Dum Ba Dum Jalwagar Tu He Tu Chaar Su

Hu K Mahool Mein Kuch Nahi Illah Hu, Tum Bohot Dilruba Tum Bohot Khoobaru
Arsh Ki Azmatein Farsh Ki Aabro, Tum Ho Qonein Ka Haasil-E-Aarzo
Aankh Nay Ker Lia Aanso'on Say Wazu, Ub To Ker Do Ata Deed Ka Ik Sabu
Aao Parday Say Tum Aankh K Ru Baru, Chund Lamhay Milan Do Ghari Guftagu

 

Naaz Jabta Phiray Ja Baja Qo Ba Qu, Wahdahu Wahdahu La Shareeka Laho

Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu 


urdu poem



दोस्तों की शिकायत करून में
यह भी मुझ को गवारा नही है

सूच केर बेवफा मुझ को कहियेः
धुल न जा'आय भरम आप का ही
आजमाया है दुन्या को में नै
आप ने मुझ को परखा नही है

हो के बेताब मय्यत पे मेरी
तुम यह कियूं बेनकाब आ गए हो
उम्र भर जिस से पर्दः किया था
आज कियूं उस से पर्दः नही है

आप हूँ गे वाफऊँ के माँ'इल
एक दिन यह हकीक़त है लेकिन
आप का तो भरोसा है मुझ को
जिंदगी का भारूसा नही है

जिद न केर आज तो घूँट पे ले
जिंदगी चार दिन के है पे ले
मोहतसिब अपनी किस्मत बना ले
मैकदा है यह का'बा नही है

शबाब आया किसी गुल पैर फ़िदा होने का वक्त आया
मेरी दुन्या में बंदे क खुदा होने का वक्त आया
उन्हें देखा तो जाहिद नै कहा, ईमान की येः है
क उब इंसान वोह सजदा राव होने का वक्त आया