Thursday, April 25, 2013

Hum apni shaam ko jab nazr-e-jaam karte hain

Sar jis paa na jhuk jaya, Osay Daar nahi kahatay
Her Daar pa jo jhook jaya, Osay Sar nhai Kahtay

Kya Tujh ko jaha walay sitamgar nahi kahatay
Kahatay hon ga lakin teray mou pa nahi kahatay

Kabay main her ek Sajaday ko kahaty hain Ibadat
Mainkhanay main her jaam ko Sagar nahi kahatay

Kabay main Muslma ko bhi kah detain hain Kafir
Mainkhanay main Kafir ko bhi Kafir nahi kahaty

Apnay Dil-e-Sadchak koo seeh sakata hoon
Mehrom-e-karam ho kay bhi jee sakta hoon

Moaquaf he nahi jaam paa rindi meari
Saqi teray ghusay ko bhi pee sakta hoon

Mujh ko tasleem hai sharabi hoon
Phir bhi fitraat ajib payi hai

Main Nazar say sharab peeta hoon
Meri rindi bhi paar sai hai

Fikra-e-sodu zayan to Chootay gee
Minatay Eno Aaan tou Choutay gee

Kher Dozakh main mila kay na milay
Sheikh sahib say jaan tou choutay ge

Hum apni shaam ko jab nazr-e-jaam karte hain
Adab se hamko sitaare salaam karte hain

Gale lagaate hain dushman ko bhi suroor mein hum
Bahut bure hain magar naik kaam karte hain

Sajaayen kyun na ise ye saraai hai dil ki
Yahaan hasin musaafir qayaam karte hain

Hayaat bech de thode se pyaar ke badle
Ye kaarobaar bhi tere ghulaam karte hain

Hamen tu ek nazar se navaaz de saaqi
Hum apne hosh-o-khirad tere naam karte hain

Qateel kitne sukhan-saaz hain ye sannaate
sukuut-e-shab men jo hamse kalaam karte hain

No comments: