Tere Darwaze Per Chillman Nahi Daikhi Jatte
Yeh kaj ravi na meri jaan ikhtyar karo
jo tum se pyar kare tum bhi uss se pyar karo
Kaha jo mein ne ke dil beqarar hai mera
to hans ke kehne lagay, aur beqarar karo
Dikhao jaam na bhar kar, mein baada khar nahi
meri nazar ko nazar se gunahgar karo
Mehek uthay gi jawani gulab ki soorat
haseen bahon ko mere galay ka haar karo
Mujh ko tasleem, mein sharabi hon
phir bhi fitrat ajeeb payi hai
Mein nazar se sharab peeta hon
meri rindi bhi parsayi hai
Fikr e sood o ziyan to chootay gi
minat e een o aan to chootay gi
Khair dozakh mein mai milay na milay
sheikh sahib se jaan to chootay gi
Shikan na daal jabeen par sharab dete hue
yeh muskurati hui cheez muskura ke pila
Suroor cheez ki miqdar pe nahi moqoof
sharab kam hai to saqi nazar mila ke pila
Kuch muraqay hain zindagani ke
chand unwaan hain kahani ke
Chandni, zulf, raqs, sher, sharab
mukhtalif naam hain jawani ke
Sharab e shoq ko masti mein la ke peeta hon
mein ma siwa ki nazar se chupa ke peeta hon
Rukoo se jo bache sajday mein ja ke peeta hon
woh rind hon jo khuda ko dikha ke peeta hon
Tere darwaze pe chilman nahi dekhi jati
jan e jaan hum se yeh uljhan nahi dekhi jati
Rukh pe yeh zulf ki uljhan nahi dekhi jati
Phool ki godd mein nagin nahi dekhi jati
Be-hijaban na milo, hum se yeh pardah kaisa
band doli mein suhagan nahi dekhi jati
Jaam mein ho to nazar aaye gulabi jorha
hum se botal mein yeh dulhan nahi dekhi jati
Ghar banayein kisi sehra mein muhabbat ke liye
shehr walon se yeh jogan nahi dekhi jati
Hum nazar baaz hain dikhlao humein dewi ka jamal
moorti hum se brahman nahi dekhi jati
Ae Fana keh de hawa se ke urha le jaye
hum se yeh khaak e nasheman nahi dekhi jati
Tere darwaze pe chilman nahi dekhi jati
No comments:
Post a Comment