Thursday, April 25, 2013

Hum apni shaam ko jab nazr-e-jaam karte hain

Sar jis paa na jhuk jaya, Osay Daar nahi kahatay
Her Daar pa jo jhook jaya, Osay Sar nhai Kahtay

Kya Tujh ko jaha walay sitamgar nahi kahatay
Kahatay hon ga lakin teray mou pa nahi kahatay

Kabay main her ek Sajaday ko kahaty hain Ibadat
Mainkhanay main her jaam ko Sagar nahi kahatay

Kabay main Muslma ko bhi kah detain hain Kafir
Mainkhanay main Kafir ko bhi Kafir nahi kahaty

Apnay Dil-e-Sadchak koo seeh sakata hoon
Mehrom-e-karam ho kay bhi jee sakta hoon

Moaquaf he nahi jaam paa rindi meari
Saqi teray ghusay ko bhi pee sakta hoon

Mujh ko tasleem hai sharabi hoon
Phir bhi fitraat ajib payi hai

Main Nazar say sharab peeta hoon
Meri rindi bhi paar sai hai

Fikra-e-sodu zayan to Chootay gee
Minatay Eno Aaan tou Choutay gee

Kher Dozakh main mila kay na milay
Sheikh sahib say jaan tou choutay ge

Hum apni shaam ko jab nazr-e-jaam karte hain
Adab se hamko sitaare salaam karte hain

Gale lagaate hain dushman ko bhi suroor mein hum
Bahut bure hain magar naik kaam karte hain

Sajaayen kyun na ise ye saraai hai dil ki
Yahaan hasin musaafir qayaam karte hain

Hayaat bech de thode se pyaar ke badle
Ye kaarobaar bhi tere ghulaam karte hain

Hamen tu ek nazar se navaaz de saaqi
Hum apne hosh-o-khirad tere naam karte hain

Qateel kitne sukhan-saaz hain ye sannaate
sukuut-e-shab men jo hamse kalaam karte hain

Tere Darwaze Per Chillman Nahi Daikhi Jatte- NFAK



Tere Darwaze Per Chillman Nahi Daikhi Jatte

Yeh kaj ravi na meri jaan ikhtyar karo
jo tum se pyar kare tum bhi uss se pyar karo
Kaha jo mein ne ke dil beqarar hai mera
to hans ke kehne lagay, aur beqarar karo
Dikhao jaam na bhar kar, mein baada khar nahi
meri nazar ko nazar se gunahgar karo
Mehek uthay gi jawani gulab ki soorat
haseen bahon ko mere galay ka haar karo

Mujh ko tasleem, mein sharabi hon
phir bhi fitrat ajeeb payi hai
Mein nazar se sharab peeta hon
meri rindi bhi parsayi hai

Fikr e sood o ziyan to chootay gi
minat e een o aan to chootay gi
Khair dozakh mein mai milay na milay
sheikh sahib se jaan to chootay gi

Shikan na daal jabeen par sharab dete hue
yeh muskurati hui cheez muskura ke pila
Suroor cheez ki miqdar pe nahi moqoof
sharab kam hai to saqi nazar mila ke pila

Kuch muraqay hain zindagani ke
chand unwaan hain kahani ke
Chandni, zulf, raqs, sher, sharab
mukhtalif naam hain jawani ke

Sharab e shoq ko masti mein la ke peeta hon
mein ma siwa ki nazar se chupa ke peeta hon
Rukoo se jo bache sajday mein ja ke peeta hon
woh rind hon jo khuda ko dikha ke peeta hon

Tere darwaze pe chilman nahi dekhi jati
jan e jaan hum se yeh uljhan nahi dekhi jati

Rukh pe yeh zulf ki uljhan nahi dekhi jati
Phool ki godd mein nagin nahi dekhi jati

Be-hijaban na milo, hum se yeh pardah kaisa
band doli mein suhagan nahi dekhi jati

Jaam mein ho to nazar aaye gulabi jorha
hum se botal mein yeh dulhan nahi dekhi jati

Ghar banayein kisi sehra mein muhabbat ke liye
shehr walon se yeh jogan nahi dekhi jati

Hum nazar baaz hain dikhlao humein dewi ka jamal
moorti hum se brahman nahi dekhi jati

Ae Fana keh de hawa se ke urha le jaye
hum se yeh khaak e nasheman nahi dekhi jati

Tere darwaze pe chilman nahi dekhi jati

Wednesday, April 17, 2013

Yeh Jo Halka Halka Suroor Hai Lyrics

Yeh Jo Halka Halka Suroor Hai Lyrics

Saqi Ki Har Nigah Pay Bal Kha K P Gaya
Lehroon Say Khailta Hoa Lehra K P Gaya

Dancing to every look of the wine-giver, I drank
Playing with the waves, I drank
Ey Rehmat-E-Tamaam Meri Har Khata Muaf
Mein Intiha-E-Shouq (Mein) Say Ghabra K P Gaya

O Lord, forgive my sins
That I was afraid, but still with great pleasure, I drank
Peta Baghair Izm Yeh Kab Thi Meri Majaal
Dar Pardah Chashm-E-Yaar Ki Shay Pa K P Gaya

That I would drink without prerogative, when did I have such courage?
With the acquiescence of my lover’s veiled eyes, I drank
Paas Rehta Hai Duur Rehta Hai
Koi Dil Mein Zaroor Rehta Hai

Close to me, far from me
Someone surely lives in my heart
Jab Say Dekha Hai Un Ki Aankhon Ko
Halka Halka Suroor Rehta Hai

Since I have seen her eyes
This mild inebriation remains with me
Aisay Rehtay Hein Koi Mere Dil Mein
Jaisay Zulmat Mein Noor Rehta Hai

She lives in my heart
Like light lives in darkness
Ub Adam Ka Yeh Haal Hai Har Waqt
Mast Rehta Hai Chuur Rehta Hai

Now is the state of this man that all the time
I remain enraptured, broken
Yeh Joh Halka Halka Saroor Hai
Yeh Teri Nazar Ka Qasoor Hai

This mild intoxication
It is the fault of your gaze
K Sharab Peena Sikha Diya
Tairay Pyar Nai, Teri Chaah Nai

That you have taught me how to drink
With my desire, my longing for you
Teri Behki Behki Nigaah Nai
Mujhay Ik Sharabi Bana Diya…

Your flirtatious looks
Have made me a lover of wine
Sharab Kaisi, Khumaar Kaisa
Yeh Sub Tumhari Nawazishein Hein

What a drink, what a high
These are all your gifts
Pilai Hai Kiss Nazar Say Tu Nai
K Mujhko Apni Khabar Nahi Hai

How you have made me elated with your looks
That I am not even aware of myself
Teri Behki Behki Nigah Nai
Mujhe Ik Sharabi Bana Dia

Your flirtatious looks
Have made me a lover of wine
Sara Jahan Must, Jahan Ka Nizam Must
Din Must, Raat Must, Saher Must, Shaam Must

The whole world is exhilarated
Day, night, morning and evening
Dil Must, Sheesha Must, Sabu Must, Jaam Must
Hai Teri Chashm-E-Must Say Her Khaas-O-Aam Must

The heart is intoxicated, so is the mirror, the glass and even the wine itself
Your captivating eyes have made everything delirious
Yoon To Saqi Her Tarah Ki Tere MaiKhane Mein Hai
Woh Bhi Thori Si Jo In Aankhon K Paimane Mein Hai

Every kind of wine resides in your cellar
And then there is that look in those eyes as well
Sub Samajhta Hoon Teri Ishwa-Kari Ay Saqi
Kaam Karti Hai Nazar Naam Hai Paimane Ka.. Bus!

I understand your cleverness well
It is the fault of your gaze, but the blame is put on the wine
Teri Behki Behki Nigah Nai
Mujhe Ik Sharabi Bana Diya

Your flirtatious looks
Have made me a lover of wine
Tera Pyar Hai Meri Zindagi
Tera Pyar Hai Meri Bandagi

To love you is my life
To love you is my bondage
Tera Pyar Hai Bas Meri Zindagi,
Tera Pyar Hai Bas Meri Zindagi

To love you is my life,
To love you is my life
Na Namaz Aati Hai Mujhko, Na Wazoo Aata Hai
Sajda Kar Leta Hoon Jab Saamnay Tu Aata Hai

Not prayer nor ablution do I know
I prostrate when before me you come
Bus Meri Zindagi Tera Pyar Hai

My life is only my love for you
Mai Azal Say Banda-E-Ishq Hoon,
Mujhe Zohd-O-Kufr Ka Gham Nahin

I am a true lover
With no fear of the hereafter
Mere Sir Ko Dar Tera Mil Gaya
Mujhe Ab Talash-E-Haram Nahi

Now that my head has found your mat
No need have I to search for heaven
Meri Bandagi Hai Wo Bandagi
Jo Muqeed-E-Dair-O-Haram Nahi

My bondage is to that spot
Which is tied to no sacred place
Mera Ik Nazar Tumhein Dekhna
Ba Khuda Namaz Se Kam Nahi

My taking one look at you
By God is equal to prayer
Bus Meri Zindagi Tera Pyar Hai
Bus Meri Zindagi Tera Pyar Hai

My life is only my love for you
My life is only my love for you
Tera Naam Loon Zubaan Say,
Tere Aagay Sir Jhuka Doon

To take your name,
To bow down before you
Mera Ishq Keh Raha Hai,
Mein Tujhe Khuda Bana Doon

My ardor tells me,
To make you my God
Tera Naam Mere Lub Per,
Mera Tazkara Hai Dar Dar

With your name on my lips,
I remember you every where
Mujhay Bhool Ja’ay Dunya,
Mein Agar Tujhe Bhula Doon

The world will forget me,
If I forget you
Mere Dil Mein Bus Rahe Hein,
Tere Bepanah Jalwe

In my heart reside,
Your many glories
Na Ho Jiss Mein Noor Tera,
Woh Charagh Hi Bujha Doon

That candle which has not your light,
Will be put out by me
Jo Pucha K Kis Tarah Hoti Hai Baarish,
Jabeen Se Paseene Ki Boondein Gira Di

When I asked how rain happens
From her forehead, she dripped a few beads of sweat
Jo Pucha K Kis Tarah Girti Hai Bijli,
Nigahein Milaein Mila Kar Jhuka Dein

When I asked how lightening falls
She met my eyes, and then lowered her lids
Jo Pucha Shab-O-Roz Milte Hain Kaise,
To Chehre Pe Apne Wo Zulfein Hata Deein

When I asked how night and day come together
She moved the hair away from her face
Jo Pucha K Naghmon Mein Jaadu Hai Kaisa,
To Meethe Takallum Mein Baatein Suna Deein

When I asked about the magic in music
She whispered a few things sweetly
Jo Apni Tamanaon Ka Haal Poocha,
To Jalti Howi Chand Shamein Bhujha Deein

Of my own desires when I inquired
Quickly, she snuffed some candles
Main Kehta Reh Gaya Khata-E-Mohabbat Ki Achi Saza Di

And I was left saying, what a punishment for the sin of loving
Mere Dil Ki Dunya Bana Kar Mita Di, Acha!

After inhabiting my heart’s world, you destroyed it
Mere Baad Kisko Satao Gay,
Mujhe Kis Tarah Se Mitao Gay
Kahan Ja Ke Teer Chalao Gay

Who will you torment after me?
How will you obliterate me?
Where will you direct your arrows?
Meri Dosti Ki Balaein Lo
Mujhe Haath Utha Kar Duaein Do,
Tumhein Ek Qatil Bana Diya

Thank my friendship
Raise your hands and bless me
That I have made you a murderer
Mujhe Daikho Khuwahish-E-Jan-E-Jaan
Main Wohi Hoon Anwar-E-Nim Jaan

Look at me, desire of my life’s life
That I am that same man
Tumhain Itna Hosh Tha Jub Kahan
Na Chalao Is Tarah Tum Zaban

When did you ever have such self-awareness
Don’t argue with me like this
Karo Mera Shukriya Meherban
Tumhein Baat Karna Sikha Diya

In fact, be grateful
That I was the one who taught how you to speak
Yeh Jo Halka Halka Saroor Hai,
Yeh Teri Nazar Ka Kasoor Hai
Kay Sharab Peena Sikha Diya

This mild intoxication
It is the fault of your gaze
That you have taught me how to drink

Pita hoo

Maine ne mana janab peeta hun
Ba khuda be hisaab pita hun


Log logon ka khun pite hain

Main to phir bhi sharab pita hun


Zindagi ka azab pite hun

Balke khana kharab pita hun


Mujhay mehshar e hisab ho na ska

Mai isliye be hisab pita hun

Tere Darwaze Pe Chilman Nahi Dekhi Jati - Nusrat Fateh Ali Khan

Yah Kajravi Na Mere Jan ektiyar Karo Jo Tumse Pyar kare tum bhi usse pyar karo
Kajravi means to deviate, ektiyar/ikhtiyar means to Choose.
Don't deviate from this heavenly path, love the one who loves your

Kaha Jo Maine k, Dil Beqrar hai Mera tu Hans k Kahny Lagay or Beqrar karo
When I told her my heart is restless without you, she laughingly replied, let it be restless, wait for me..

Dekhayo Na Jam Bhar Kar, Bhadakhawar nahi Mere Nazar ko Nazar sy Gunagar karo
Mehak Jawani Ghulab Ke Sorat Haseen Bahoon ko Meray Gale Har Karo

Mujhko Tasleem Mai Sharabi hoon Phir Bhi Fitrat Ajeeb Paye hai
Mai Nazar Sy Sharab Peeta Hoon Mere Rindi Bhi Parsaye Hai

Fikaray Sodo Zeyan, Tu Chotay Gi
(NFAK Said: Yeh Faiz Ahmed Faiz Sahab Ka Shair hai, Mulaheza Farmayeen)
Fikare Sodo Zeyan, Tu Chote Ge Minate Enoan tu Chotay Gi
Khair, Dozakh Main Mile Na Mile Shaikh Sahib Se Tu Jaan Chote Gi!

Shikan Na Dal Jabin Per Sharab Dety Howe Ya Mushkurati howe Cheez Muskura Ka Pila
Saror Cheez ke Mikdar Pay Nahi Mauokoff Sharab Kam hai tu Saqi Nazar Mila Ka Pila

Kuch Murakay Hain Zindgani K Chand Unwaan Hain Kahani ke
Chandani, Zulf, Raqs, Shair, Sharab Mukhtalif Naam Hain Jawani Ke

Sharab Shook Ko Masti Mai Lake Peta Hoon
Mai Masawa Ke Nazar Sy Chupa k Peeta Hoon
Roku Se Jo Bachy Sajde Mai Jake Peeta hoon
Mai Woh Rind hoon,jo Khuda ko Dekha K Peeta hoon

Tere Darwaze Pe Chillman Nahi Dekhe Jati Jane-Jaan Humsy Yah uljhan Nahi Dekhe Jati

Rukh Pe Yah Zulf Ke Uljhan nahi Dekhe Jati Phool Ke Ghoud Mai Nagan Nahi Dekhe Jati

Behijaban Na Milo, Humse Yah Pardah Kaisa Bandole Mai Suhagan Nahi Dekhe Jati

Jam Mai Ho Tu, Nazar Aye Ghulabi Jora Humse Bottal Mai Yah Dulhan Nahi Dekhe Jati

Ghar Banayen, Kisi Sehra mai Mohabbat k Liye Shahar Waloon Sy Yah Jogan Nahi Dekhe Jati

Hum Nazar Baz Hain, Dekhla Hamin Davi Ka Jamal Moorati Humse Baraha Man Nahi Dekhe Jati

Ae Fana Kehde Hawa Se Keurale Jaye Humse Ya Kake Nashiman Nahi Dekhe Jati

Teray Darwazay Pay Chillman Nahi Dekhe Jati